Kismat k panno ki syahi meri choot gayi.
gira ke jaise farsh pe ,
sheeshe ki botal toot gayi,
Kya gila karu ki apno ne b,
sath mera kyu chod diya,
Anjane raste pe tumne,
mujhe akela mod diya.
Ab gaur nahi un baataon pe,
jo vishwas ki paribhasha hai.
sapne toote to toote,
rishto ki dor bhi tumne tod diya.
Par khush hu,koi gila nahi,
jo likha nahi,wo mila nahi.
Pathik akela raste pe,
raste se naata jod liya.
aukaat mujhe dikhi apno ki,
andhiyare ko syahi banakar,
apni kismat k kore panne pe,
ek naya mukaam jod diya
No comments:
Post a Comment