Wednesday, December 23, 2015

MBA Farewell

Sama, mehfil, nazare,
Sab ye baate yaad ayengi.
Rahega kaarwa jab tak,
Ye yaari muskurayegi.
Jo beete pal hai saare,
is safar ki wo nishani hai.
Tu mujhko yaad ayega,
mai tujhko yaad aaunga.
Rahegi ye imarat bhi,
Yha ki ek har hasti,
Ye ek aisi dagar hai wo niraali,
Jo khatm na hogi,
Musafir tum bhi aaye the,
Musafir mai bhi aaya hu.
Safar aage hai lamba ab,
Akele chalte jaana hai.
Tum is kashti me sathi the,
Samundar yaad rakhega.
Isi kaa naam jeena hai,
Tumhe ab badhte jaana hai.

No comments:

Post a Comment