Haskar rona, rokar hasna.
baat-baat me chidhana,
ab bhi wo sab karne ko dil karta hai,
par ab main bada ho gya hun.
darwaze ke peeche chupar,
sabko chouka deta tha.
hath chupakar shirt ke peeche,
dekho mere hath kat gaye,
ye sabko main batata tha.
un garmi ki raato me chhatt par,
taaro ko ginta, phir daadi ke paas so jaata tha.
par ab ye sab yaado ko sanjokar,
khud ko dekhta hu, aur kehta hu.
ki ab main bada ho gya hun.