Aankhen band ki to bas paya ki,
sath mere 'Tum Hi Ho'.
Jab koi na rehta sath mere,
Tab mujhse baatien karti 'Tum Hi Ho'.
Rasta dikhane wale to kai mile mujhko,
par sath chalne wali bas 'Tum Hi Ho'.
Duniya me sab kuch hai khushi ke liye,
par meri saari khushiyan 'Tum Hi Ho'.
Mujhko apna kehne wale kai hai,
par main jisko apna keh saku wo 'Tum Hi Ho'.
Koi nhi jaanta tera mujhse rishta kya hai?
Par mere Dil ka anmol hissa 'Tum Hi Ho'.
