Tuesday, December 22, 2015

Lekh

Mere alfaazo ko toh jeete g nhi samajh paayegi tu,
Meri maut hi mere shabdo ki kahani bayan karenge

Shayari toh bas ek jariya hai tujhe sach batane ka,
Khata teri b nai gar tu waah waah bhi na kare

Taaliyo ki goonj hi mere dard daba deti hai,
Warna mere pyar ki awaaz tujhko jaroor sunai deti..

Kinara

Tere shabdo, sawalo ka,
har kissa yaad aayega,
Jo maanjhi ho tu kashti ka,
Kinara mil bhi jayega.
Kahu ab kya,
Hai Zindagi kis mod aa thehri,
Jo tu hasta to haste hai,
Jo tu rota to rote hai.
Meri ab khwashie saari,
Tere hi baad baad aati hai,
Jo tu chalta, toh chalte hai.
Jo tu jeeta toh jeete hai.

#ShivAnsh

You don't need wings to fly...

A new dawn,
The sun has brightened in the sky,
You can prove yourself,
You don't need wings to fly..!
A daydream might make u feel so high,
Few night to work & u don't need wings to fly..!
Fate, fortunes and destiny, don't work at all.
Merely ur hands, give them a try,
U really don't need wings to fly..!

MBA- 2 Year Journey

Hi,

I want to share my memories of My section C of G.L. Bajaj


Starbucks, barsita, CcD, kaun itna kharcha uthaye,

Bas hum 3-4 dost aur sadak k nukkad ki Chai,
College ki faculty k lectures me concentration ekdum gum ho jayega
Par jab law padhna hoga, poora section ready ho jayega.
Theory padh padh k exams dena, ab aage itti himmat kaun layega?
Par ye 4 semester jam k ratna, mujhe khoob yaad aayega.
Fir aage Dean k lectures na honge, tym job me kat jayega,
Agar kisi se galti hui toh 60 Toffee kaun layega?
HVPE ke lectures ki taaliyo se poora corridor goonz jayega.
Mote-mote taor pe yaad rkhne wali baate kaun batayega?
Vineet ma'am ki smile ka kya raaz koi batayega?
MBA ka har kissa ab yaad bahut aayega.....
Bahut kuch seekha Maine yha magar ye waqt na wapas aayega.
Sath me hasna, sath me jeena, Section-C yaad bahut aayega..

Girl

Girl

Natkhat aur manmaani Bhi,
Sayani Aur Shaitani bhi,
Behan aur Beti Hai uske Naam,
Gar ki Laxmi Aur Maa Ke roop me Chaaro Dhaam.
Uski Ijjat - Farz hamara,
Uski Raksha - Dharm hamara.
Jisne bhi laanghi Lakshman Rekha,
Vadh hua uska, Gawah ye Zamana saara
Par is Kalyug me, har roz Betiyan roti hai,
Kisi ki ijjat lut-ti hai,
to koi kokh me hi sada ke liye soti  hai.
Ye kaisi Mardangi hai?
Mard ke naam par haivaan panap-te hai.
Jo Krishna ke Sudarshan se bhi nahi darte hain.
Ye samjh lo duniya,
ki Naari hi Durga , Naari hi shakti hai,
Naari se varchasva hamara,
Naari hi Sarvasva hamara.
Ab to jaago haivaaniyat ki neend se,
Nayi Subah ki ore Ek kadam badhao,
Naari Ki Raksha karo aur Beti Bachao.