Girl
Natkhat aur manmaani Bhi,
Sayani Aur Shaitani bhi,
Behan aur Beti Hai uske Naam,
Gar ki Laxmi Aur Maa Ke roop me Chaaro Dhaam.
Uski Ijjat - Farz hamara,
Uski Raksha - Dharm hamara.
Jisne bhi laanghi Lakshman Rekha,
Vadh hua uska, Gawah ye Zamana saara
Par is Kalyug me, har roz Betiyan roti hai,
Kisi ki ijjat lut-ti hai,
to koi kokh me hi sada ke liye soti hai.
Ye kaisi Mardangi hai?
Mard ke naam par haivaan panap-te hai.
Jo Krishna ke Sudarshan se bhi nahi darte hain.
Ye samjh lo duniya,
ki Naari hi Durga , Naari hi shakti hai,
Naari se varchasva hamara,
Naari hi Sarvasva hamara.
Ab to jaago haivaaniyat ki neend se,
Nayi Subah ki ore Ek kadam badhao,
Naari Ki Raksha karo aur Beti Bachao.
No comments:
Post a Comment