Sunday, July 28, 2013

Zinda Hu Main-2

Sabke hote hue bhi kitna akela hu main,

Kaash koi to kare fikar ki kya Zinda Hu Main?

Aaj phir wahi tanhai yaad aati hai,

Jo tumhare aane ke phle thi,

Phir se tanha kar diya tumne,

Badi mushkil se Zinda Hu Main.

Taare ginte raat guzarti,

din bhi yun kat jaate hai.

Teri yaaden meri saanse hai,

Apni saanso ke sahare Zinda Hu Main.

Chand bhi itna roshan na tha us waqt,

Jab tum mere sath thi,

Shayad wo bhi Jalta tha humse,

Par aaj wo bhi khush hai,

Kyunki wo bhi akela hai aur Akela Hu Main.

Aa bhi jao mujhse milne ek baar bas,

tumse milne ke intzaar me Zinda Mu Main.

Ab mil bhi jao yun mujhme behte hue dariya ki tarah,

Tere liye Sagar bankar Zinda Hu Main.

Bas ab Inteha ho gayi mere Intzaar ki,

Ab bas Saanse bandh hone ko hai,

Bas ise padh ke,Teri aankhon me Pyar dekhne ke liye 'Zinda Hu Main'...

-Shivansh

No comments:

Post a Comment