Sunday, May 19, 2013

Zinda Hu Main

Saare arman toot gaye
phir bhi jinda hu main,
sabke sath choot gaye
phir b jinda hu main
kisi ne nahi jaana mere dil me kya hai..?
Dabe hue armaan leke jinda hu main,
dhadkan ki awaaz daba di,
saanso ki har saaz daba di.
Beete waqt ki kachhi dhun me jinda hu main.
Sirf ek aur lamha baaki hai mujhme,
us lamhe ko jeene ke liye jinda hu main.
Teri har ek yaad mita di,
phoolo ki har sez hata di,
kaanto bhare khwab  liye zinda hu main..
Raato ki har yaad mita di,
yaadon ki har baat mita di .
Bas tanha si raat ko lekar zinda hu main...
Jeene ki har aas mita di,
peene ki har pyas mita di.
Door kahi gehre dariya me zinda hu main.
Na jaane kab chutega daaman is bedard zindagi ka,
us waqt ke intzaar me zinda hu main....
Mat rona tum mere tumse door chale jaane par,
Phir se dekhna apne dil me,
shayad kahi kisi koone me zinda hun main.......
Apni in kavitaon me zinda hu main......!!!
                        -Shivansh

3 comments: